(Hook)
Munawar luta har baar par wo sikhta nahi hai,
Munawar tuta kai baar tuta dikhta nahi hai,
Naseebe likh diye hai dard likhne wale ne,
Munawar jaisa kagazo pe dard fir bhi koi likhta nahi hai.
Soche Hara Itni Baar Fir Bhi Rukta Nahi Hai,
Bechu Dard, Ke Imaan Mujh Se Bikta Nahi Hai,
Ruth Baitha Yaha Dekh Khud Ke Saaye Se,
Karde Maaf, Kya Afsos tujhko Dikhta Nahi Hai?
(Verse 1)
Karu neki kya joh farz hi adaa nahi,
Gir ke jana yaha koi bhi sagaa nahi,
Takaa hain sab me main laut ke jau kahan,
Ghar pe intezaar karne wali maa nahi.
Ek waqt tha main rota tha kabr pe baith,
Ek waqt maine raate kaati khali pet,
Andhare dekhe, par haraa na ummeed main,
Aaj waqt dekh main banke baitha sabka seth.
Mashhoor naam mera khud se hi anjaan main,
Kasoorvar aisa khud ki lelu jaan main.
Woh din the behtar jab sota tha main khali pet,
Aaj bade ghar me khaata hu akele baith,
Nahi yaad kab main soya tha sukoon se,
Panha mange panne likhta hoon khoon se,
Khud se rutha itna toota main hu jhootha aaj,
Mehfilo me main milunga sabse jhoom ke.
Dede nind mujhe asar nahi dawao mein,
Thaka hoon duniya se tu le mujhe panaho mein,
Barsaa raha khuda aaj mujhpe itni rehmat,
Main badnaseeb fir bhi dubta gunaho mein.
Lagaa hua yoon dekh duniya ko hasane mein,
Likhu main shayari woh dard ke fasane pe,
Bhale hi aate hai hazaaro meri mehfil me,
Yeh bheed chahiye mujhe mere janaaze pe.
(Hook)
Munawar luta har baar par wo sikhta nahi hai,
Munawar tuta kai baar tuta dikhta nahi hai,
Naseebe likh diye dard likhne wale ne,
Munawar jaisa kagazo pe dard fir bhi koi likhta nahi hai.
Soche Hara Itni Baar Fir Bhi Rukta Nahi Hai,
Bechu Dard, Ke Imaan Mujh Se Bikta Nahi Hai,
Ruth Baitha Yaha Dekh Khud Ke Saaye Se,
Karde Maaf, Kya Afsos tujhko Dikhta Nahi Hai?
(Verse 2)
Mere aane pe chupate ye darr sa chehra,
Saare matlabi hai aaspaas yakeen se keh raha,
Sharam se dubenge saare kalam se meri ye aaj,
Beta Iqbal ka hain likhta samandar se gehara.
Mehnat hai meri toh phal main inko kyu du,
Rehamat kar teri to layak main khood bhi nahi hoo.
Yakeen hi nahi jo mila khuda tere dar se,
Yakeen hai dua ke badale yeh sab kar raha tu.
Chumte haath hai banke yeh mureed saare,
Jhoomte saath yeh sun ke mere sher saare.
Dher saare joh khade the khilaaf mere,
Aaya sher ab bhagenge yeh bhed saare.
Gurur nahi main sar jhuk ke chalta hu,
Kur nahi main bando se nahi darta hu,
Dushmano ko khush kardo deke ye khabar,
Zinda bahar main andar roj marta hu.
Nikla leke kandhe pe kitne boz mere,
Sadke jaan ke nikalte hai roj mere,
Utaara gaya tha jaleel karke stage se,
Aaj Fan-Fest lagte hai shows mere.
Jal rahe hai kagaz dekh meri likhayi ko,
Dard leke ladta jaise koi sipai ho,
Main bhoolu kaise woh bhookhi maa ki siskiyan,
Uske baad nahi yaad sukoon se ek roti khayi ho.
Main shayar jo sher saare sawa rakhta,
Main hoon woh marz joh khud ki hi dawa rakhta,
Dawa hai meri sajde me khud ko heal karta,
Gawah hai khuda mera kaise sabse deal karta.
Khada bulandi pe khuda ka lakh shukr karu,
Amal khaas nahi toh akhirat ki fikr karu,
Usko pasand hai shayad mera tutana,
Musibat bhejta hai taaki uska zikr karu.
(Hook)
Munawar luta har baar par wo sikhta nahi hai,
Munawar tuta kai baar tuta dikhta nahi hai,
Naseebe likh diye hai dard likhne wale ne,
Munawar jaisa kagazo pe dard fir bhi koi likhta nahi hai.
Soche Hara Itni Baar Fir Bhi Rukta Nahi Hai,
Bechu Dard, Ke Imaan Mujh Se Bikta Nahi Hai,
Ruth Baitha Yaha Dekh Khud Ke Saaye Se,
Karde Maaf, Kya Afsos tujhko Dikhta Nahi Hai?
0 Comments
Please don't enter any spam link in the comment box